Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar

Fani Badayuni

ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    ishq ishq ho shāyad husn meñ fanā ho kar

    intihā huī ġham dil ibtidā ho kar

    dil hameñ huā hāsil dard meñ fanā ho kar

    ishq huā āġhāz ġham intihā ho kar

    nā-murād rahne tak nā-murād jiite haiñ

    saañs ban gayā ik ek naala nā-rasā ho kar

    ab huī zamāne meñ sheva-e-vafā qadr

    ālam-āshnā hai vo dushman-e-vafā ho kar

    aur bande haiñ jin ko dāva-e-ḳhudā.ī hai

    thī hamārī qismat meñ bandagī ḳhudā ho kar

    umr-e-ḳhizr ke andāz har nafas meñ paatā huuñ

    zindagī na.ī paa.ī aap se judā ho kar

    baḌhtā hai na ghaTtā hai marte haiñ na jiite haiñ

    dard par ḳhudā maar dil meñ rah gayā ho kar

    kār-gāh-e-hasrat hashr kyā huā rab

    dāġh-e-dil pe kyā guzrī naqsh-e-mudda.ā ho kar

    ishq se hue āgāh sabr bhī had dekhī

    ḳhaak meñ milā doge der-āshnā ho kar

    qazā-e-mubram ne zindagī ġham-ḳhvārī

    dard davā pahuñchī dard be-davā ho kar

    zindagī se ho be-zār 'fānī' is se kyā hāsil

    maut ko manā loge jaan se ḳhafā ho kar

    ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar

    intiha hui gham ki dil ki ibtida ho kar

    dil hamein hua hasil dard mein fana ho kar

    ishq ka hua aaghaz gham ki intiha ho kar

    na-murad rahne tak na-murad jite hain

    sans ban gaya ek ek nala na-rasa ho kar

    ab hui zamane mein shewa-e-wafa ki qadr

    aalam-ashna hai wo dushman-e-wafa ho kar

    aur bande hain jin ko dawa-e-KHudai hai

    thi hamari qismat mein bandagi KHuda ho kar

    umr-e-KHizr ke andaz har nafas mein pata hun

    zindagi nai pai aap se juda ho kar

    baDhta hai na ghaTta hai marte hain na jite hain

    dard par KHuda ki mar dil mein rah gaya ho kar

    kar-gah-e-hasrat ka hashr kya hua ya rab

    dagh-e-dil pe kya guzri naqsh-e-muddaa ho kar

    ishq se hue aagah sabr ki bhi had dekhi

    KHak mein mila doge der-ashna ho kar

    ki qaza-e-mubram ne zindagi ki gham-KHwari

    dard ki dawa pahunchi dard be-dawa ho kar

    zindagi se ho be-zar 'fani' is se kya hasil

    maut ko mana loge jaan se KHafa ho kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now