Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki rahon pe chalna hai to ruswai na dekh

Akhtar Saeedi

ishq ki rahon pe chalna hai to ruswai na dekh

Akhtar Saeedi

MORE BYAkhtar Saeedi

    ishq rāhoñ pe chalnā hai to rusvā.ī na dekh

    tujh ko paanī meñ utarnā hai to gahrā.ī na dekh

    dekhnā ye hai pas-e-parda mulavvis kaun hai

    paañv meñ kis shaḳhs ne zanjīr pahnā.ī na dekh

    paḌh sake to paḌh hikāyāt-e-ġham-e-vāraftgāñ

    dhuup meñ jhulse hue chehroñ pe ra.anā.ī na dekh

    ḳhār-zāroñ se guzar bilā ḳhauf-o-ḳhatar

    ai musāfir har jagah rasm-e-shanāsā.ī na dekh

    tujh ko manzil talab hai to qadam aage baḌhā

    is safar meñ ham-safar koī mire bhaa.ī na dekh

    sāmne aa guftugū hausla rakhtā huuñ maiñ

    merī sūrat par na zaḳhm-e-shanāsā.ī na dekh

    ḳhud na ban 'aḳhtar' tamāshā is tamāshā-gāh meñ

    dekh apne aap ko zarf-e-tamāshā.ī na dekh

    ishq ki rahon pe chalna hai to ruswai na dekh

    tujh ko pani mein utarna hai to gahrai na dekh

    dekhna ye hai pas-e-parda mulawwis kaun hai

    panw mein kis shaKHs ne zanjir pahnai na dekh

    paDh sake to paDh hikayat-e-gham-e-waraftgan

    dhup mein jhulse hue chehron pe ranai na dekh

    KHar-zaron se guzar ja tu bila KHauf-o-KHatar

    ai musafir har jagah rasm-e-shanasai na dekh

    tujh ko manzil ki talab hai to qadam aage baDha

    is safar mein ham-safar koi mere bhai na dekh

    samne aa guftugu ka hausla rakhta hun main

    meri surat par na ja zaKHm-e-shanasai na dekh

    KHud na ban 'aKHtar' tamasha is tamasha-gah mein

    dekh apne aap ko zarf-e-tamashai na dekh

    Source:

    (Pg. 58)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now