ishq mein humne amanat mein KHayanat nahin ki
'ishq meñ ham ne amānat meñ ḳhayānat nahīñ kī
dard bechā nahīñ jazboñ kī tijārat nahīñ kī
pyaar duniyā se kiyā ham ne usī kī ḳhātir
aur usī ke liye duniyā se mohabbat nahīñ kī
ham ne DhūñDā nahīñ marne kā bahāna koī
zinda rahne kī bhī paidā koī sūrat nahīñ kī
apne haq meñ use ḳhush-fahmī bahut hai varna
ham ne mahsūs kabhī us kī zarūrat nahīñ kī
ham ko mā'lūm thā kuufe ke safar kā anjām
haq kī chāhat meñ magar tark masāfat nahīñ kī
'ishq kāmil ho to duurī bhī huzūrī hai miyāñ
hijr kī us ke kabhī ham ne shikāyat nahīñ kī
jism-tā-jism faqat chand qadam the 'najmī'
tum bhī kyā ho ki tai itnī sī masāfat nahīñ kī
'ishq mein hum ne amanat mein KHayanat nahin ki
dard becha nahin jazbon ki tijarat nahin ki
pyar duniya se kiya hum ne usi ki KHatir
aur usi ke liye duniya se mohabbat nahin ki
hum ne DhunDa nahin marne ka bahana koi
zinda rahne ki bhi paida koi surat nahin ki
apne haq mein use KHush-fahmi bahut hai warna
hum ne mahsus kabhi us ki zarurat nahin ki
hum ko ma'lum tha kufe ke safar ka anjam
haq ki chahat mein magar tark masafat nahin ki
'ishq kaamil ho to duri bhi huzuri hai miyan
hijr ki us ke kabhi hum ne shikayat nahin ki
jism-ta-jism faqat chand qadam the 'najmi'
tum bhi kya ho ki tai itni si masafat nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.