aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein ye hui haalat tere diwane ki

Aziz Warsi

ishq mein ye hui haalat tere diwane ki

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    ishq meñ ye huī hālat tire dīvāne

    ab na jiine tamannā hai na mar jaane

    raqs miinā kabhī shoḳhiyāñ paimāne

    yaad aatī haiñ fazā.eñ tire maiḳhāne

    kuchh is andāz se tartīb diyā hai maiñ ne

    tum se tashrīh na hogī mire afsāne

    merī qismat meñ likkhī thī tabāhī ai dost

    hai shikāyat mujhe apne na begāne

    vo bhī bīmār-e-mohabbat uḌāte haiñ mazāq

    dekh kar jin ko tavaqqo.a thī sambhal jaane

    kyuuñ na tauqīr kareñ aaj mirī ahl-e-haram

    ḳhaak chhānī hai bahut maiñ ne sanam-ḳhāne

    hijr ālām ḳhalish soz taḌap dard-e-jigar

    surḳhiyāñ haiñ ye mire ishq ke afsāne

    ishq mein ye hui haalat tere diwane ki

    ab na jine ki tamanna hai na mar jaane ki

    raqs mina ka kabhi shoKHiyan paimane ki

    yaad aati hain fazaen tere maiKHane ki

    kuchh is andaz se tartib diya hai main ne

    tum se tashrih na hogi mere afsane ki

    meri qismat hi mein likkhi thi tabahi ai dost

    hai shikayat mujhe apne ki na begane ki

    wo bhi bimar-e-mohabbat ka uDate hain mazaq

    dekh kar jin ko tawaqqoa thi sambhal jaane ki

    kyun na tauqir karen aaj meri ahl-e-haram

    KHak chhani hai bahut main ne sanam-KHane ki

    hijr aalam KHalish soz taDap dard-e-jigar

    surKHiyan hain ye mere ishq ke afsane ki

    Source:

    Mehraab (Pg. 87)

    • Author: Aziiz vaarsii
      • Edition: 1976
      • Publisher: Maktaba Nida-e-ittiihaad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now