aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ne jab bhi kisi dil pe hukumat ki hai

Jawad Sheikh

ishq ne jab bhi kisi dil pe hukumat ki hai

Jawad Sheikh

MORE BYJawad Sheikh

    ishq ne jab bhī kisī dil pe hukūmat hai

    to use dard me.arāj ināyat hai

    apnī tā.īd pe ḳhud aql bhī hairān huī

    dil ne aise mire ḳhvāboñ himāyat hai

    shahr-e-ehsās tirī yaad se raushan kar ke

    maiñ ne har ghar meñ tire zikr jur.at hai

    mujh ko lagtā hai ki insān adhūrā hai abhī

    ne duniyā meñ use bhej ke ujlat hai

    shahr ke tīra-tarīñ ghar se vo ḳhurshīd milā

    jis tanvīr meñ tāsīr qayāmat hai

    sochtā huuñ ki maiñ aise meñ kidhar ko jā.ūñ

    terā milnā bhī kaThin, yaad bhī shiddat hai

    is tarah auñdhe paḌe haiñ ye shikasta jazbe

    jaise ik vahm ne in sab imāmat hai

    ye jo bikhrī huī lāsheñ haiñ varaq par 'javvād'

    ye mire zabt se lafzoñ ne baġhāvat hai

    ishq ne jab bhi kisi dil pe hukumat ki hai

    to use dard ki mearaj inayat ki hai

    apni taid pe KHud aql bhi hairan hui

    dil ne aise mere KHwabon ki himayat ki hai

    shahr-e-ehsas teri yaad se raushan kar ke

    main ne har ghar mein tere zikr ki jurat ki hai

    mujh ko lagta hai ki insan adhura hai abhi

    tu ne duniya mein use bhej ke ujlat ki hai

    shahr ke tira-tarin ghar se wo KHurshid mila

    jis ki tanwir mein tasir qayamat ki hai

    sochta hun ki main aise mein kidhar ko jaun

    tera milna bhi kaThin, yaad bhi shiddat ki hai

    is tarah aundhe paDe hain ye shikasta jazbe

    jaise ek wahm ne in sab ki imamat ki hai

    ye jo bikhri hui lashen hain waraq par 'jawwad'

    ye mere zabt se lafzon ne baghawat ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now