aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq to sari umr ka ek pesha nikla

Sajjad Baqar Rizvi

ishq to sari umr ka ek pesha nikla

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    ishq to saarī umr ik pesha niklā

    ham ne kyā sochā thā yaaro kyā niklā

    dil patthar pighle to kyā niklegā

    patthar dil pighlā to dariyā niklā

    bhaag rahā hai dariyā bhī sāgar taraf

    pyaas bujhāne vaalā ḳhud pyāsā niklā

    sub.h savere thī kirnoñ bazm sajī

    shaam ko ghar se tanhā ik saaya niklā

    itnī umr meñ apne ma.anī kuchh na mile

    dil meñ sūrat āñkhoñ meñ sapnā niklā

    dil ke safar meñ lahū dariyā paar kiyā

    us ke aage sahrā meñ sahrā niklā

    le ke faqīrī aas lagā.ī duniyā se

    'bāqar' pyāre bhī sag-e-duniyā niklā

    ishq to sari umr ka ek pesha nikla

    hum ne kya socha tha yaro kya nikla

    dil ka patthar pighle to kya niklega

    patthar ka dil pighla to dariya nikla

    bhag raha hai dariya bhi sagar ki taraf

    pyas bujhane wala KHud pyasa nikla

    subh sawere thi kirnon ki bazm saji

    sham ko ghar se tanha ek saya nikla

    itni umr mein apne mani kuchh na mile

    dil mein surat aankhon mein sapna nikla

    dil ke safar mein lahu ka dariya par kiya

    us ke aage sahra mein sahra nikla

    le ke faqiri aas lagai duniya se

    'baqar' pyare tu bhi sag-e-duniya nikla

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 251)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now