Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi KHatir to uski aarti humne utari hai

Mayank Awasthi

isi KHatir to uski aarti humne utari hai

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    isī ḳhātir to us aartī ham ne utārī hai

    ġhazal bhī maañ hai aur us bhī sheroñ savārī hai

    mohabbat dharm hai ham shā.iroñ dil pujārī hai

    abhī firqa-parastoñ pe hamārī nasl bhārī hai

    sitāre chāñd sūraj phuul jugnū saath haiñ har-dam

    koī sarhad nahīñ aisī ajab duniyā hamārī hai

    vo dil ke dard ḳhushbū aalam hai ki mat pūchho

    tumhārī yaad meñ ye umr jannat meñ guzārī hai

    ye duniyā kyā sudhāregī hameñ ham to haiñ dīvāne

    hamīñ logoñ ne ab tak aql duniyā sudhārī hai

    isi KHatir to us ki aarti hum ne utari hai

    ghazal bhi man hai aur us ki bhi sheron ki sawari hai

    mohabbat dharm hai hum shairon ka dil pujari hai

    abhi firqa-paraston pe hamari nasl bhaari hai

    sitare chand suraj phul jugnu sath hain har-dam

    koi sarhad nahin aisi ajab duniya hamari hai

    wo dil ke dard ki KHushbu ka aalam hai ki mat puchho

    tumhaari yaad mein ye umr jannat mein guzari hai

    ye duniya kya sudhaaregi hamein hum to hain diwane

    hamin logon ne ab tak aql duniya ki sudhaari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now