Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jagti haqiqat tak rasta hai KHwabon ka

Krishn Bihari Noor

jagti haqiqat tak rasta hai KHwabon ka

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    jāgtī haqīqat tak rāsta hai ḳhvāboñ

    darmiyāñ mire un ke fāsla hai ḳhvāboñ

    ek shab ke TukḌoñ ke naam muḳhtalif rakhe

    jism-o-rūh bandhan silsila hai ḳhvāboñ

    dekheñ is kashākash iḳhtitām ho kab tak

    jāgne ḳhvāhish hai hausla hai ḳhvāboñ

    apnī apnī ta.abīreñ DhūñDhtā hai har chehra

    chehra chehra paḌh liije tazkira hai ḳhvāboñ

    nashshe ye aalam hai sach sach lage sab kuchh

    zindagī sahbā hai mai-kada hai ḳhvāboñ

    gard-e-rāh sūrat saañs saañs hai ai 'nūr'

    mīr-e-kārvāñ maiñ huuñ qāfila hai ḳhvāboñ

    jagti haqiqat tak rasta hai KHwabon ka

    darmiyan mere un ke fasla hai KHwabon ka

    ek shab ke TukDon ke nam muKHtalif rakhe

    jism-o-ruh ka bandhan silsila hai KHwabon ka

    dekhen is kashakash ka iKHtitam ho kab tak

    jagne ki KHwahish hai hausla hai KHwabon ka

    apni apni tabiren DhunDhta hai har chehra

    chehra chehra paDh lije tazkira hai KHwabon ka

    nashshe ka ye aalam hai sach hi sach lage sab kuchh

    zindagi ki sahba hai mai-kada hai KHwabon ka

    gard-e-rah ki surat sans sans hai ai 'nur'

    mir-e-karwan main hun qafila hai KHwabon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now