aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

Akhtar Ansari

jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

Akhtar Ansari

MORE BYAkhtar Ansari

    jāñ-sapārī ke bhī armāñ zindagī aas bhī

    hifz-e-nāmūs-e-alam bhī nīsh-e-ġham paas bhī

    ḳhaak dar-bar sahī maiñ ḳhaak bhī vo ḳhaak hai

    jis meñ mere zaḳhm-e-dil bhī hai aur baas bhī

    kitne daur-e-charḳh un āñkhoñ ne dekhe kuchh na pūchh

    miT chukā hai vaqt raftār ehsās bhī

    haa.e vo ik nashtar-āgīñ neshtar-afroz yaad

    jis ke aage hech apnī burrish-e-infās bhī

    ham na the kuchh ḳhud us saude pe raazī varna yuuñ

    raas aane ko ye duniyā aa jaatī raas bhī

    ḳhud ko ai dil yās-e-kāmil ke havāle yuuñ na kar

    jhāñktī hai zehn ke ġhurfe se koī aas bhī

    kaun us vaadī se uchhlā tā-sar-e-arsh-e-barīñ

    gum haiñ jis vaadī meñ 'aḳhtar' ḳhizr bhī ilyās bhī

    jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

    hifz-e-namus-e-alam bhi nish-e-gham ka pas bhi

    KHak dar-bar hi sahi main KHak bhi wo KHak hai

    jis mein mere zaKHm-e-dil ki bu bhi hai aur bas bhi

    kitne daur-e-charKH un aankhon ne dekhe kuchh na puchh

    miT chuka hai waqt ki raftar ka ehsas bhi

    hae wo ek nashtar-agin neshtar-afroz yaad

    jis ke aage hech apni burrish-e-infas bhi

    hum na the kuchh KHud hi us saude pe raazi warna yun

    ras aane ko ye duniya aa hi jati ras bhi

    KHud ko ai dil yas-e-kaamil ke hawale yun na kar

    jhankti hai zehn ke ghurfe se koi aas bhi

    kaun us wadi se uchhla ta-sar-e-arsh-e-barin

    gum hain jis wadi mein 'aKHtar' KHizr bhi ilyas bhi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 160)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now