Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai

Jazib Quraishi

jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai

Jazib Quraishi

MORE BYJazib Quraishi

    jāñ-soz ġhamoñ kahīñ iz.hār nahīñ hai

    zindāñ meñ bhī zanjīr jhankār nahīñ hai

    har shaḳhs ke chehre pe hai kuchh aisī alāmat

    jaise vo koī phuul hai talvār nahīñ hai

    sab gahre samundar meñ khaḌe soch rahe haiñ

    ham meñ koī sūraj parastār nahīñ hai

    zaḳhmoñ lahū ho ki charāġhoñ ujālā

    koī bhī mire shahr meñ bedār nahīñ hai

    maiñ tujh se bichhaḌ kar yahī samjhā huuñ ki duniyā

    dīvār to hai sāya-e-dīvār nahīñ hai

    ḳhush-rañg zuleḳhāoñ ke bāzār meñ 'jāzib'

    koī ġham-e-yūsuf ḳharīdār nahīñ hai

    jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai

    zindan mein bhi zanjir ki jhankar nahin hai

    har shaKHs ke chehre pe hai kuchh aisi alamat

    jaise wo koi phul hai talwar nahin hai

    sab gahre samundar mein khaDe soch rahe hain

    hum mein koi suraj ka parastar nahin hai

    zaKHmon ka lahu ho ki charaghon ka ujala

    koi bhi mere shahr mein bedar nahin hai

    main tujh se bichhaD kar yahi samjha hun ki duniya

    diwar to hai saya-e-diwar nahin hai

    KHush-rang zuleKHaon ke bazar mein 'jazib'

    koi gham-e-yusuf ka KHaridar nahin hai

    Source:

    Shanasai (Pg. 78)

    • Author: Jazib Qureshi
      • Edition: 1994
      • Publisher: Panjab Book House, Urdu Bazar, Karachi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now