jaane kitna waqt lagega KHud se bahar aane mein
jaane kitnā vaqt lagegā ḳhud se bāhar aane meñ
tanhā.ī kā shor bahut hai shahroñ ke vīrāne meñ
saarī mastī bhar Daalī hai chhoTe se paimāne meñ
lamha lamha jhuum rahā hai vaqt tire maiḳhāne meñ
jab ye jism sulagtā hai to ruuh bhī jalne lagtī hai
parvāne kā 'ishq mukammal hotā hai jal jaane meñ
aag lagī thī siine meñ aur āñkheñ sho'la-bār huiiñ
dil ik ātish-dān huā hai terā hijr manāne meñ
jaane kitna waqt lagega KHud se bahar aane mein
tanhai ka shor bahut hai shahron ke virane mein
sari masti bhar Dali hai chhoTe se paimane mein
lamha lamha jhum raha hai waqt tere maiKHane mein
jab ye jism sulagta hai to ruh bhi jalne lagti hai
parwane ka 'ishq mukammal hota hai jal jaane mein
aag lagi thi sine mein aur aankhen sho'la-bar huin
dil ek aatish-dan hua hai tera hijr manane mein
- Book : Ishq (Pg. 66)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.