Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jati rahin kidhar wo mohabbat ki baniyan

Wali Uzlat

jati rahin kidhar wo mohabbat ki baniyan

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    jaatī rahīñ kidhar vo mohabbat bāniyāñ

    ik āshnā rahīñ tirī bāteñ bagāniyāñ

    sun kar jalā huuñ tuur muusā kamar miyāñ

    firaunī-e-raqīb o tirī lan-tarāniyāñ

    kahtā huuñ jab maiñ sote nasīboñ sarguzisht

    hotī haiñ ḳhvāb-e-nāz tum ko kahāniyāñ

    jām-e-hubāb par dam-e-īsā bhī sañg hai

    nāzuk diloñ pe halke suḳhan haiñ girāniyāñ

    ai jag ke Thag ye naam nikāle se nañg nahīñ

    'uzlat' se dil liye pe bhī āñkheñ chorāniyāñ

    jati rahin kidhar wo mohabbat ki baniyan

    ek aashna rahin teri baaten baganiyan

    sun kar jala hun tur sa musa kamar miyan

    firauni-e-raqib o teri lan-taraniyan

    kahta hun jab main sote nasibon ki sarguzisht

    hoti hain KHwab-e-naz ki tum ko kahaniyan

    jam-e-hubab par dam-e-isa bhi sang hai

    nazuk dilon pe halke suKHan hain giraniyan

    ai jag ke Thag ye nam nikale se nang nahin

    'uzlat' se dil liye pe bhi aankhen choraniyan

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 84)

    • Author: Syed Saadullah
      • Edition: 1759
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now