Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawedan qadron ki shaMein bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

Majeed Amjad

jawedan qadron ki shaMein bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    jāvedāñ qadroñ sham.eñ bujh ga.iiñ to jal uThī taqdīr-e-dil

    aaj is miTTī ke har zī-rūh zarre meñ bhī hai tasvīr-e-dil

    apne dil raakh chun kar kaash in lamhoñ bahtī aag meñ

    maiñ bhī ik sayyāl sho.ale ke varaq par likh sakūñ tafsīr-e-dil

    maiñ na samjhā varna hañgāmoñ bharī duniyā meñ ik aahaT ke sañg

    koī to thā aaj jis qahqaha dil meñ hai dāman-gīr-e-dil

    rut badalte chaman chū ham-safīr ab ke bhī kosoñ duur se

    aa ke jab is shāḳh par chahke mire dil meñ bajī zanjīr-e-dil

    kyā safar thā be-sadā sadiyoñ ke pul ke us taraf us moḌ tak

    pai-ba-pai ubhrā sunahrī gard se ik nāla-e-dil-gīr-e-dil

    vaar duniyā ne kiye mujh par to 'amjad' maiñ ne is ghamsān meñ

    apnā siina chiir kar rakh niyām-e-harf meñ shamshīr-e-dil

    jawedan qadron ki shamen bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

    aaj is miTTi ke har zi-ruh zarre mein bhi hai taswir-e-dil

    apne dil ki rakh chun kar kash in lamhon ki bahti aag mein

    main bhi ek sayyal shoale ke waraq par likh sakun tafsir-e-dil

    main na samjha warna hangamon bhari duniya mein ek aahaT ke sang

    koi to tha aaj jis ka qahqaha dil mein hai daman-gir-e-dil

    rut badalte hi chaman chu ham-safir ab ke bhi koson dur se

    aa ke jab is shaKH par chahke mere dil mein baji zanjir-e-dil

    kya safar tha be-sada sadiyon ke pul ke us taraf us moD tak

    pai-ba-pai ubhra sunahri gard se ek nala-e-dil-gir-e-dil

    war duniya ne kiye mujh par to 'amjad' main ne is ghamsan mein

    apna sina chir kar rakh di niyam-e-harf mein shamshir-e-dil

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 165)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now