jab bhi apne sar se apna qad siwa lagne lage
jab bhī apne sar se apnā qad sivā lagne lage
mat samajh lenā ki tum sab ko ḳhudā lagne lage
tū mirī āvāz meñ kyoñ is tarah shāmil huā
maiñ kisī ko duuñ sadā terī sadā lagne lage
us ke chehre par jo paḌ jaa.e tire chehre kā 'aks
shāḳh se TuuTā huā pattā harā lagne lage
is qadar nafrat hai mere bhā.iyoñ ke zehn meñ
mere haq kā zahr bhī un ko davā lagne lage
maañ tire mamtā bhare hoñToñ meñ vo tāsīr hai
bad-du'ā bhī tere hoñToñ kī du'ā lagne lage
dekh kar ham ko kabhī muñh pherte haiñ ḳhauf se
is kā matlab hai ki ham bhī aa.ina lagne lage
vaqt achchhā ho to dushman sā ye ban kar saath de
vaqt paḌ jaa.e to saaya bhī judā lagne lage
maiñ ne shīshoñ kī tijārat is liye to kī na thī
pattharoñ ko ḳhud mirā chehrā burā lagne lage
jab bhi apne sar se apna qad siwa lagne lage
mat samajh lena ki tum sab ko KHuda lagne lage
tu meri aawaz mein kyon is tarah shamil hua
main kisi ko dun sada teri sada lagne lage
us ke chehre par jo paD jae tere chehre ka 'aks
shaKH se TuTa hua patta hara lagne lage
is qadar nafrat hai mere bhaiyon ke zehn mein
mere haq ka zahr bhi un ko dawa lagne lage
man tere mamta bhare honTon mein wo tasir hai
bad-du'a bhi tere honTon ki du'a lagne lage
dekh kar hum ko kabhi munh pherte hain KHauf se
is ka matlab hai ki hum bhi aaina lagne lage
waqt achchha ho to dushman sa ye ban kar sath de
waqt paD jae to saya bhi juda lagne lage
main ne shishon ki tijarat is liye to ki na thi
pattharon ko KHud mera chehra bura lagne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.