aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi wo mujhse mila rone laga

Zafar Hameedi

jab bhi wo mujhse mila rone laga

Zafar Hameedi

MORE BYZafar Hameedi

    jab bhī vo mujh se milā rone lagā

    aur jab tanhā huā rone lagā

    dostoñ ne hañs ke jab bhī baat

    vo hañsā phir chup rahā rone lagā

    jab bhī mere paañv meñ kāñTā chubhā

    patta patta baaġh rone lagā

    ābyārī ke liye aayā thā kaun

    har shajar murjhā gayā rone lagā

    chāñd niklā jab moharram kahīñ

    chup se dasht-e-karbalā rone lagā

    us pe kyā biitī hai apne shahr meñ

    āshnā nā-āshnā rone lagā

    mere dushman ravayya thā ajab

    jab huā mujh se judā rone lagā

    bādaloñ ne aaj barsāyā lahū

    amn har fāḳhta rone lagā

    dekh kar masjid meñ mujh ko muztarib

    mere ġham meñ but-kada rone lagā

    thā 'zafar' ik anokhā mājrā

    ġhaur se jis ne sunā rone lagā

    jab bhi wo mujh se mila rone laga

    aur jab tanha hua rone laga

    doston ne hans ke jab bhi baat ki

    wo hansa phir chup raha rone laga

    jab bhi mere panw mein kanTa chubha

    patta patta bagh ka rone laga

    aabyari ke liye aaya tha kaun

    har shajar murjha gaya rone laga

    chand nikla jab moharram ka kahin

    chup se dasht-e-karbala rone laga

    us pe kya biti hai apne shahr mein

    aashna na-ashna rone laga

    mere dushman ka rawayya tha ajab

    jab hua mujh se juda rone laga

    baadalon ne aaj barsaya lahu

    amn ka har faKHta rone laga

    dekh kar masjid mein mujh ko muztarib

    mere gham mein but-kada rone laga

    tha 'zafar' ka ek anokha majra

    ghaur se jis ne suna rone laga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jab bhi wo mujhse mila rone laga Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now