Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de

Bimal Krishn Ashk

jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de

Bimal Krishn Ashk

MORE BYBimal Krishn Ashk

    jab chaudhvīñ chāñd nikaltā dikhā.ī de

    vo gerua libās badaltā dikhā.ī de

    dariyā-e-zindagī ki nigāhoñ hai qusūr

    Thahrā dikhā.ī de kabhī chaltā dikhā.ī de

    paḌne lage jo zor havas to kyā nigāh

    har zāviye se jism nikaltā dikhā.ī de

    bahrūpiye ke haath paḌe haiñ so raat din

    din raat rañg-rūp badaltā dikhā.ī de

    rakkhe hai yuuñ to paañv sambhal-soch kar magar

    nazroñ farsh hai ki phisaltā dikhā.ī de

    us naam meñ vo shola-garī hai jo lījiye

    har room meñ charāġh chaltā dikhā.ī de

    maiñ 'ashk' shakl naam se vāqif nahīñ magar

    ik shaḳhs hai jo saath chaltā dikhā.ī de

    jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de

    wo gerua libas badalta dikhai de

    dariya-e-zindagi ki nigahon ka hai qusur

    Thahra dikhai de kabhi chalta dikhai de

    paDne lage jo zor hawas ka to kya nigah

    har zawiye se jism nikalta dikhai de

    bahrupiye ke hath paDe hain so raat din

    din raat rang-rup badalta dikhai de

    rakkhe hai yun to panw sambhal-soch kar magar

    nazron ka farsh hai ki phisalta dikhai de

    us nam mein wo shola-gari hai jo lijiye

    har room mein charagh sa chalta dikhai de

    main 'ashk' shakl nam se waqif nahin magar

    ek shaKHs hai jo sath hi chalta dikhai de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now