Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab din chaDha badan pe badan si saji qamis

Bimal Krishn Ashk

jab din chaDha badan pe badan si saji qamis

Bimal Krishn Ashk

MORE BYBimal Krishn Ashk

    jab din chaḌhā badan pe badan sajī qamīs

    utrī jo raat ghar meñ badan raat qamīs

    do-chār saal pahle jise DhūñDte the vo

    chāhtā hai phir se pahniye vahī qamīs

    us durusht lahja use is tarah phabā

    silky badan pe jaise saje khurdurī qamīs

    chehre pe phailtā hai vahī jogiyā badan

    āñkhoñ meñ kauñdtī hai vahī beḳhnī qamīs

    āḳhir kahāñ kahāñ se rafū kījiye ise

    ab to jahāñ-tahāñ se nikalne lagī qamīs

    badlī jo jagmagāte hue chāñd par paḌī

    yaad aa ga.ī kisī badan se bharī qamīs

    chāhtā hai aaj alganī ye dekhiye

    saarī vahī saped vahī kāsnī qamīs

    kis se gilā kareñ ki ga.ī jhol rah ga.e

    jaisī bhī mil ga.ī hai pahniye yahī qamīs

    jab din chaDha badan pe badan si saji qamis

    utri jo raat ghar mein badan raat ki qamis

    do-chaar sal pahle jise DhunDte the wo

    ji chahta hai phir se pahniye wahi qamis

    us ka durusht lahja use is tarah phaba

    silky badan pe jaise saje khurduri qamis

    chehre pe phailta hai wahi jogiya badan

    aankhon mein kaundti hai wahi beKHni qamis

    aaKHir kahan kahan se rafu kijiye ise

    ab to jahan-tahan se nikalne lagi qamis

    badli jo jagmagate hue chand par paDi

    yaad aa gai kisi ki badan se bhari qamis

    ji chahta hai aaj algani ye dekhiye

    sari wahi saped wahi kasni qamis

    kis se gila karen ki gai jhol rah gae

    jaisi bhi mil gai hai pahniye yahi qamis

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now