Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain

Anwar Saharanpuri

jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain

Anwar Saharanpuri

MORE BYAnwar Saharanpuri

    jab fasl-e-bahārāñ aatī hai shādāb gulistāñ hote haiñ

    takmīl-e-junūñ bhī hotī hai aur chaak garebāñ hote haiñ

    pur-kaif fazā.eñ chaltī haiñ maḳhmūr ghaTā.eñ chhātī haiñ

    jab sehn-e-chaman meñ jalva-numā vo jān-e-bahārāñ hote haiñ

    hotā hai sukūn-e-qalb-o-jigar har zaḳhm meñ lazzat aatī hai

    o nāvak-afgan tiir tire taskīn-e-rag-e-jāñ hote haiñ

    kyuuñ minnat-e-chāra-gar kiije kyuuñ fikr-e-davā-e-dil kiije

    bīmār-e-mohabbat ke naale ḳhud dard darmāñ hote haiñ

    ye ahd-e-javānī shoḳhī-e-gul do din bahāreñ hotī haiñ

    dekheñ to kabhī vo rañg-e-ḳhizāñ jo husn pe nāzāñ hote haiñ

    jab bād-e-bahārī aatī hai har gul pe javānī chhātī hai

    khil jaate haiñ mire zaḳhm-e-jigar aur daaġh daraḳhshāñ hote haiñ

    girdāb muhāfiz hotā hai ai bahr-e-havādis bekas

    khiñch aatā hai sāhil maujoñ meñ jab josh pe tūfāñ hote haiñ

    kyā mujh ko zarūrat ai 'anvar' kyuuñ un ke sitam shākī huuñ

    jab yaad jafā.eñ aatī haiñ vo ḳhud pashemāñ hote haiñ

    jab fasl-e-bahaaran aati hai shadab gulistan hote hain

    takmil-e-junun bhi hoti hai aur chaak gareban hote hain

    pur-kaif fazaen chalti hain maKHmur ghaTaen chhati hain

    jab sehn-e-chaman mein jalwa-numa wo jaan-e-bahaaran hote hain

    hota hai sukun-e-qalb-o-jigar har zaKHm mein lazzat aati hai

    o nawak-afgan tir tere taskin-e-rag-e-jaan hote hain

    kyun minnat-e-chaara-gar kije kyun fikr-e-dawa-e-dil kije

    bimar-e-mohabbat ke nale KHud dard ka darman hote hain

    ye ahd-e-jawani shoKHi-e-gul do din ki bahaaren hoti hain

    dekhen to kabhi wo rang-e-KHizan jo husn pe nazan hote hain

    jab baad-e-bahaari aati hai har gul pe jawani chhati hai

    khil jate hain mere zaKHm-e-jigar aur dagh daraKHshan hote hain

    girdab muhafiz hota hai ai bahr-e-hawadis bekas ka

    khinch aata hai sahil maujon mein jab josh pe tufan hote hain

    kya mujh ko zarurat ai 'anwar' kyun un ke sitam ka shaki hun

    jab yaad jafaen aati hain wo KHud hi pasheman hote hain

    Source:

    Tajalliyat-e-Anwar(Part-003) (Pg. 40)

    • Author: Anwar Saharanpuri
      • Edition: 1940
      • Publisher: Idara Adab Anjuman-e-Kashan-e-Iqbal, Saharanpur
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now