Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya

Sarwar Alam Raz

jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya

Sarwar Alam Raz

MORE BYSarwar Alam Raz

    jab jab vo sar-e-tūr-e-tamannā nazar aayā

    maiñ kaise kahūñ vo mujhe kyā kyā nazar aayā

    hastī ke dar-o-bast maarā nazar aayā

    har shaḳhs tamāsha tamāshā nazar aayā

    dekhā jo zamāne ko kabhī achchhī nazar se

    jo bhī nazar aayā hameñ achchhā nazar aayā

    ka.abe meñ jo dekhā vahī but-ḳhāne meñ paayā

    jaisā vo mire dil meñ thā vaisā nazar aayā

    kyā ye bhī mohabbat ke taqāzoñ meñ hai shāmil

    dariyā meñ nazar aayā to sahrā nazar aayā

    auroñ pe baḌhe sañg-e-malāmat jo liye ham

    har chehre meñ kyoñ apnā chehra nazar aayā

    DhūñDā nahīñ ham ne tumhārā koī ham-sar

    haañ tum kaho tum ko koī ham nazar aayā

    yuuñ aur bahut aib haiñ 'sarvar' meñ va-lekin

    kam-baḳht mohabbat meñ yaktā nazar aayā

    jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya

    main kaise kahun wo mujhe kya kya nazar aaya

    hasti ke dar-o-bast ka mara nazar aaya

    har shaKHs tamasha hi tamasha nazar aaya

    dekha jo zamane ko kabhi achchhi nazar se

    jo bhi nazar aaya hamein achchha nazar aaya

    kabe mein jo dekha wahi but-KHane mein paya

    jaisa wo mere dil mein tha waisa nazar aaya

    kya ye bhi mohabbat ke taqazon mein hai shamil

    dariya mein nazar aaya to sahra nazar aaya

    auron pe baDhe sang-e-malamat jo liye hum

    har chehre mein kyon apna hi chehra nazar aaya

    DhunDa hi nahin hum ne tumhaara koi ham-sar

    han tum kaho tum ko koi hum sa nazar aaya

    yun aur bahut aib hain 'sarwar' mein wa-lekin

    kam-baKHt mohabbat mein tu yakta nazar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now