Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai

Majid-ul-Baqri

jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    jab judā peḌoñ se kaT kar Daalī Daalī ho ga.ī

    ik tere jañgal mājid god ḳhālī ho ga.ī

    koī mausam ho ba-har-sūrat havā chaltī rahī

    baḌh gayā itnā dhuāñ har shakl kaalī ho ga.ī

    mere chehre par likhī thiiñ surḳhiyāñ aḳhbār

    jo bhī sūrat sāmne aa.ī savālī ho ga.ī

    haiñ vahī alfāz lekin vo ma.ānī nahīñ

    baat sulh-o-āshtī aaj gaalī ho ga.ī

    terī tasvīroñ pe bhī apnā nahīñ hai iḳhtiyār

    fāsla itnā baḌhā sūrat ḳhayālī ho ga.ī

    ḳhuuñ ḳhatt-e-istavā 'mājid' ta.assub meñ ghirā

    pyaar bād-e-sabā bād-e-shumālī ho ga.ī

    jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai

    ek tere jangal ki majid god KHali ho gai

    koi mausam ho ba-har-surat hawa chalti rahi

    baDh gaya itna dhuan har shakl kali ho gai

    mere chehre par likhi thin surKHiyan aKHbar ki

    jo bhi surat samne aai sawali ho gai

    hain wahi alfaz lekin wo maani hi nahin

    baat sulh-o-ashti ki aaj gali ho gai

    teri taswiron pe bhi apna nahin hai iKHtiyar

    fasla itna baDha surat KHayali ho gai

    KHun ka KHatt-e-istawa 'majid' tassub mein ghira

    pyar ki baad-e-saba baad-e-shumali ho gai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 477)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now