Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab ki be-parda tu hua hoga

Mushafi Ghulam Hamdani

jab ki be-parda tu hua hoga

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    jab ki be-parda huā hogā

    maah parde se tak rahā hogā

    kuchh hai surḳhī aaj palkoñ par

    qatra-e-ḳhūñ koī bahā hogā

    mere naame se ḳhuuñ Tapaktā thā

    dekh kar us ne kyā kahā hogā

    ghūrtā hai mujhe vo dil mire

    merī nazroñ se gayā hogā

    yahī rahtā hai ab to dhyān mujhe

    vaañ se qāsid mirā chalā hogā

    jis ghaḌī tujh ko kunj-e-ḳhalvat meñ

    ke tanhā vo aa gayā hogā

    'mus.hafī' us ghaḌī maiñ hairāñ huuñ

    tujh se kyūñkar rahā gayā hogā

    jab ki be-parda tu hua hoga

    mah parde se tak raha hoga

    kuchh hai surKHi si aaj palkon par

    qatra-e-KHun koi baha hoga

    mere name se KHun Tapakta tha

    dekh kar us ne kya kaha hoga

    ghurta hai mujhe wo dil ki mere

    meri nazron se pa gaya hoga

    yahi rahta hai ab to dhyan mujhe

    wan se qasid mera chala hoga

    jis ghaDi tujh ko kunj-e-KHalwat mein

    pa ke tanha wo aa gaya hoga

    'mushafi' us ghaDi main hairan hun

    tujh se kyunkar raha gaya hoga

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    jab ki be-parda tu hua hoga Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now