Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai

Majid-ul-Baqri

jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    jab palak jhapke to manzar varaq ban jaa.e hai

    dil meñ kuchh aa.e nazar bāhar nazar kuchh aa.e hai

    chup sīdhā peḌ hai bolo to jhuktā jaa.e hai

    haa.e chhūne tamannā jo mujhe taḌpā.e hai

    sardiyoñ lambī rāteñ oḌh kar so jaa.e hai

    din ke sūraj ke ḳhayāloñ se dil garmā.e hai

    yaad ḳhushbū se apne jism ko mahkā.e hai

    vo parī-paikar jo mere naam se sharmā.e hai

    har ghaḌī har aan bijlī tarah lahrā.e hai

    merī kachchī koTharī meñ jhāñk kar rah jaa.e hai

    zaat ke ġhāroñ meñ chhup kar koī bahlā.e hai

    raushnī meñ jism ḳhvāhish mujhe le aa.e hai

    chūḌiyoñ bañsarī par raag 'mājid' gaa.e hai

    ghup añdhere meñ sadā us badan ban jaa.e hai

    jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai

    dil mein kuchh aae nazar bahar nazar kuchh aae hai

    chup ka sidha peD hai bolo to jhukta jae hai

    hae chhune ki tamanna jo mujhe taDpae hai

    sardiyon ki lambi raaten oDh kar so jae hai

    din ke suraj ke KHayalon hi se dil garmae hai

    yaad ki KHushbu se apne jism ko mahkae hai

    wo pari-paikar jo mere nam se sharmae hai

    har ghaDi har aan bijli ki tarah lahrae hai

    meri kachchi koThari mein jhank kar rah jae hai

    zat ke ghaaron mein chhup kar hi koi bahlae hai

    raushni mein jism ki KHwahish mujhe le aae hai

    chuDiyon ki bansari par rag 'majid' gae hai

    ghup andhere mein sada us ki badan ban jae hai

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-057) (Pg. ebook-58 page-56)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Aqeela Shaheen
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now