jab se tum ho gae juda humse
jab se tum ho ga.e judā ham se
zindagī hai ḳhafā ḳhafā ham se
chāhtā kyā hai bevafā ham se
jab ta'alluq nahīñ rahā ham se
ek saaya tumhārī qurb kā thā
chhin gayā vo bhī aasrā ham se
vo balā-nosh haiñ zamāne meñ
ḳhauf khātī hai har balā ham se
jis ne dil ko jalāyā thā 'arshī'
hai vahī tālib-e-du’ā ham se
jab se tum ho gae juda hum se
zindagi hai KHafa KHafa hum se
chahta kya hai bewafa hum se
jab ta'alluq nahin raha hum se
ek saya tumhaari qurb ka tha
chhin gaya wo bhi aasra hum se
wo bala-nosh hain zamane mein
KHauf khati hai har bala hum se
jis ne dil ko jalaya tha 'arshi'
hai wahi talib-e-du’a hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.