Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab subh hui aai jab sanjh Dhali aai

Navin Joshi

jab subh hui aai jab sanjh Dhali aai

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    jab sub.h huī aa.ī jab sāñjh Dhalī aa.ī

    hai yaad tirī tujh be-bāk chalī aa.ī

    thā be-numū mujh meñ ik paudhā mohabbat

    ye mo.ajiza hai terā jo is pe kalī aa.ī

    ehsān havā hai bekal mirī sāñsoñ pe

    ḳhushbū tire dāman le kar ye chalī aa.ī

    āvāz tirī ran-jhan paa.el ho jaise dhun

    bātoñ meñ tirī ghul ke misrī Dalī aa.ī

    raftār achānak dhaḌkan baḌhī jaa.e

    ye dil ishāra hai ab terī galī aa.ī

    kyoñ shaam lagā aa.ī vo surḳh tirī biñdī

    aur hāthoñ meñ ye terī mehñdī bhī malī aa.ī

    ruḳhsār pe hai laalī māthe pe pasīna hai

    le ruup tirā le ke ab sub.h chalī aa.ī

    jab subh hui aai jab sanjh Dhali aai

    hai yaad teri tujh si be-bak chali aai

    tha be-numu sa mujh mein ek paudha mohabbat ka

    ye moajiza hai tera jo is pe kali aai

    ehsan hawa ka hai bekal meri sanson pe

    KHushbu tere daman ki le kar ye chali aai

    aawaz teri ran-jhan pael ki ho jaise dhun

    baaton mein teri ghul ke misri ki Dali aai

    raftar achanak hi dhaDkan ki baDhi jae

    ye dil ka ishaara hai ab teri gali aai

    kyon sham laga aai wo surKH teri bindi

    aur hathon mein ye teri mehndi bhi mali aai

    ruKHsar pe hai lali mathe pe pasina hai

    le rup tera le ke ab subh chali aai

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now