jab tera husn-e-nazar yaad aaya
jab tirā husn-e-nazar yaad aayā
apnā dil apnā jigar yaad aayā
aisā mad.hosh kiyā saaqī ne
dasht yaad aayā na ghar yaad aayā
tum bhulāte to ho dīvāne ko
phir bhī dīvāna agar yaad aayā
tere altāf-o-karam ke qurbāñ
tū mujhe shām-o-sahar yaad aaya
sū-e-mai-ḳhāna chalā rind-e-ḳharāb
phir koī mast-e-nazar yaad aayā
jab milā chāk-e-girebāñ koī
tere jalvoñ kā asar yaad aayā
dekh kar shahr-e-ḳhamoshāñ aksar
apnī hastī kā safar yaad aayā
hāl-e-dil aap ne pūchhā to sahī
shukr hai banda-e-dar yaad aayā
dekh kar husn-e-jahāñ ai 'sādiq'
mujh ko vo ā.ina-gar yaad aayā
jab tera husn-e-nazar yaad aaya
apna dil apna jigar yaad aaya
aisa madhosh kiya saqi ne
dasht yaad aaya na ghar yaad aaya
tum bhulate to ho diwane ko
phir bhi diwana agar yaad aaya
tere altaf-o-karam ke qurban
tu mujhe sham-o-sahar yaad aaya
su-e-mai-KHana chala rind-e-KHarab
phir koi mast-e-nazar yaad aaya
jab mila chaak-e-gireban koi
tere jalwon ka asar yaad aaya
dekh kar shahr-e-KHamoshan aksar
apni hasti ka safar yaad aaya
haal-e-dil aap ne puchha to sahi
shukr hai banda-e-dar yaad aaya
dekh kar husn-e-jahan ai 'sadiq'
mujh ko wo aaina-gar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.