Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab zara hui aahaT shaKH par hile patte

Murtaza Barlas

jab zara hui aahaT shaKH par hile patte

Murtaza Barlas

MORE BYMurtaza Barlas

    jab zarā huī aahaT shāḳh par hile patte

    peḌ so ga.e lekin jāgte rahe patte

    saikaḌoñ parindoñ ne oḌh ridā jaise

    raat siyāhī meñ oT ban ga.e patte

    surḳh ḳhuun shāḳhoñ hai vajūd meñ shāmil

    dekh kar fazā lekin sabz ho ga.e patte

    jaise un ke dāman par dhuul thī na dhabba thā

    ik zarā bārish se kaise dhul ga.e patte

    jab bhī chalī yaaro sabz rut badalne ko

    tāliyāñ bajā.eñge phir yahī hare patte

    jañgaloñ meñ ḳhāmoshī habs alāmat hai

    tāzgī dete haiñ bolte hue patte

    be-libās ho kar bhī peḌ to rahe qaa.em

    hijratoñ ke mausam ne dar-ba-dar kiye patte

    ab chaman rakhvālī mashġhala hai bachchoñ

    phuul jab nahīñ paa.e nochne lage patte

    jab zara hui aahaT shaKH par hile patte

    peD so gae lekin jagte rahe patte

    saikaDon parindon ne oDh li rida jaise

    raat ki siyahi mein oT ban gae patte

    surKH KHun shaKHon ka hai wajud mein shamil

    dekh kar faza lekin sabz ho gae patte

    jaise un ke daman par dhul thi na dhabba tha

    ek zara si barish se kaise dhul gae patte

    jab bhi lu chali yaro sabz rut badalne ko

    taliyan bajaenge phir yahi hare patte

    jangalon mein KHamoshi habs ki alamat hai

    tazgi si dete hain bolte hue patte

    be-libas ho kar bhi peD to rahe qaem

    hijraton ke mausam ne dar-ba-dar kiye patte

    ab chaman ki rakhwali mashghala hai bachchon ka

    phul jab nahin pae nochne lage patte

    Source:

    kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 207)

    • Author: Murtaza Barlas
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publication Lahore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now