Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai

Nasir Kazmi

jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    jabīñ pe dhuup āñkhoñ meñ kuchh hayā hai

    ajnabī hai magar shakl āshnā hai

    ḳhayāl nahīñ aatā kisī musībat

    tire ḳhayāl meñ har baat ġham-rubā hai

    jahāñ meñ yuuñ to kise chain hai magar pyāre

    ye tere phuul se chehre pe kyuuñ udāsī hai

    dil-e-gamīñ se bhī jalte haiñ shādmān-e-hayāt

    usī charāġh ab shahr meñ havā hai

    hamīñ se aañkh churātā hai us har zarra

    magar ye ḳhaak hamāre ḳhuuñ pyāsī hai

    udaas phirtā huuñ maiñ jis dhun meñ barsoñ se

    yūñhī hai vo ḳhushī baat vo zarā hai

    chahakte bolte shahroñ ko kyā huā 'nāsir'

    ki din ko bhī mire ghar meñ vahī udāsī hai

    jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai

    tu ajnabi hai magar shakl aashna si hai

    KHayal hi nahin aata kisi musibat ka

    tere KHayal mein har baat gham-ruba si hai

    jahan mein yun to kise chain hai magar pyare

    ye tere phul se chehre pe kyun udasi hai

    dil-e-gamin se bhi jalte hain shadman-e-hayat

    usi charagh ki ab shahr mein hawa si hai

    hamin se aankh churaata hai us ka har zarra

    magar ye KHak hamare hi KHun ki pyasi hai

    udas phirta hun main jis ki dhun mein barson se

    yunhi si hai wo KHushi baat wo zara si hai

    chahakte bolte shahron ko kya hua 'nasir'

    ki din ko bhi mere ghar mein wahi udasi hai

    Source:

    Kulliyaat-e-Nasir Kazmi (Pg. 278)

    • Author: Nasir Kazmi
      • Edition: 1957
      • Publisher: Nasir Kazmi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now