Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki

Jafar Sahni

jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    jabīñ pe shahr likh kar fazā udāsī

    bahut hai ḳhush koī de kar duā udāsī

    hayāt na sakegī husain ḳhvāhish

    samā.atoñ meñ hai jab tak sadā udāsī

    falak ke chāñd sitāroñ meñ raushnī kam hai

    mujhe to lagtī hai is meñ ḳhatā udāsī

    chahaktī shaam meñ ma.asūm qahqahoñ ke biich

    sajī hai kyuuñ tire sar par ridā udāsī

    charāġh shauq se āḳhir vo ho gayā raushan

    liye thī qaid meñ jis ko ghaTā udāsī

    na ho sakā mujhe ma.alūm kar ga.ī kaise

    mire vajūd ko larzāñ havā udāsī

    ġhamoñ rut se kabhī dil figār mat honā

    ḳhushī luTā ga.ī aksar adā udāsī

    masarratoñ se kahīñ dil-rubā sitam niklā

    lapeTe shaal bahut ḳhushnumā udāsī

    ajiib haal hai 'ja.afar' badalte mausam

    kisī ko kar ga.ī shādāñ sazā udāsī

    jabin pe shahr ki likh kar faza udasi ki

    bahut hai KHush koi de kar dua udasi ki

    hayat pa na sakegi husain si KHwahish

    samaaton mein hai jab tak sada udasi ki

    falak ke chand sitaron mein raushni kam hai

    mujhe to lagti hai is mein KHata udasi ki

    chahakti sham mein masum qahqahon ke bich

    saji hai kyun tere sar par rida udasi ki

    charagh shauq se aaKHir wo ho gaya raushan

    liye thi qaid mein jis ko ghaTa udasi ki

    na ho saka mujhe malum kar gai kaise

    mere wajud ko larzan hawa udasi ki

    ghamon ki rut se kabhi dil figar mat hona

    KHushi luTa gai aksar ada udasi ki

    masarraton se kahin dil-ruba sitam nikla

    lapeTe shaal bahut KHushnuma udasi ki

    ajib haal hai 'jafar' badalte mausam ka

    kisi ko kar gai shadan saza udasi ki

    Source:

    Shayad (Pg. 76)

    • Author: Jafar Sahni
      • Edition: 2012
      • Publisher: Yawar Hussain
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now