Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan walon se barti is qadar be-gangi maine

Laxmi Narayan Farigh

jahan walon se barti is qadar be-gangi maine

Laxmi Narayan Farigh

MORE BYLaxmi Narayan Farigh

    jahāñ vāloñ se bartī is qadar be-gāngī maiñ ne

    ki barham kar liyā apnā nizām-e-zindagī maiñ ne

    sikhā.e husn-e-kāfir ko salīqe ḳhud-numā.ī ke

    sañvārā pai-ba-pai apnā mazāq-e-āshiqī maiñ ne

    hue raushan na phir bhī bām-o-dar fikr-o-tasavvur ke

    hazāroñ baar bazm-e-jahāñ meñ raushnī maiñ ne

    dil-e-nā-āqibat-andesh kotāh-bīnī

    kabhī tā.īd maiñ ne kabhī tardīd maiñ ne

    hazāroñ baar tahzīb-o-tamaddun fazā badlī

    hazāroñ baar ik duniyā na.ī ābād maiñ ne

    kyā ifshā na rāz-e-ġham kisī par jīte-jī 'fāriġh'

    baḌe sabr-o-tahammul se basar zindagī maiñ ne

    jahan walon se barti is qadar be-gangi main ne

    ki barham kar liya apna nizam-e-zindagi main ne

    sikhae husn-e-kafir ko saliqe KHud-numai ke

    sanwara pai-ba-pai apna mazaq-e-ashiqi main ne

    hue raushan na phir bhi baam-o-dar fikr-o-tasawwur ke

    hazaron bar ki bazm-e-jahan mein raushni main ne

    dil-e-na-aqibat-andesh ki kotah-bini ki

    kabhi taid ki main ne kabhi tardid ki main ne

    hazaron bar tahzib-o-tamaddun ki faza badli

    hazaron bar ek duniya nai aabaad ki main ne

    kya ifsha na raaz-e-gham kisi par jite-ji 'farigh'

    baDe sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne

    Source:

    Ehsasat-e-Farigh (Pg. 10)

    • Author: Laxmi Narayan Farigh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now