Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaisa hamein guman tha waisa nahin raha

Suhail Ahmed Zaidi

jaisa hamein guman tha waisa nahin raha

Suhail Ahmed Zaidi

MORE BYSuhail Ahmed Zaidi

    jaisā hameñ gumān thā vaisā nahīñ rahā

    qissa bhī iḳhtitām pe qissa nahīñ rahā

    ik ḳhauf saath saath hai ūñche makān

    aisā nahīñ ki shahr meñ saaya nahīñ rahā

    sailāb apne saath bahā le gayā use

    niilā subuk-ḳhirām vo dariyā nahīñ rahā

    kashtī ke bādbān meñ simTī rahī havā

    lutf-e-safar ki maiñ thā akelā nahīñ rahā

    miltī hai biich biich meñ shahroñ raushnī

    sahrā gasht khel-tamāshā nahīñ rahā

    kahte nahīñ ho sher buzurgoñ tarz par

    tum ko 'suhail' ḳhauf ḳhudā nahīñ rahā

    jaisa hamein guman tha waisa nahin raha

    qissa bhi iKHtitam pe qissa nahin raha

    ek KHauf sath sath hai unche makan ka

    aisa nahin ki shahr mein saya nahin raha

    sailab apne sath baha le gaya use

    nila subuk-KHiram wo dariya nahin raha

    kashti ke baadban mein simTi rahi hawa

    lutf-e-safar ki main tha akela nahin raha

    milti hai bich bich mein shahron ki raushni

    sahra ka gasht khel-tamasha nahin raha

    kahte nahin ho sher buzurgon ki tarz par

    tum ko 'suhail' KHauf KHuda ka nahin raha

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 267)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2010
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now