Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale

Nadeem Sirsivi

jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale

Nadeem Sirsivi

MORE BYNadeem Sirsivi

    jaise hoñ lāsheñ dafn purāne khañDar buniyād tale

    ehsās dabe haiñ kitne mirī nā-gufta rūdād tale

    vo zaat to ek zaat hai na har lamha jis ko DhūñDhtā hai

    momin nūr-e-īmān tale kāfir sañg-e-ilhād tale

    imroz-o-fardā karte rahe tum aur yahāñ ahl-e-hasrat

    kitne kuchle jaate rahe bār-e-yaum-e-mī.ād tale

    kal tak na.ara āzādī jin ke hoñToñ zīnat thā

    vo itmīnān se baiThe haiñ ab ḳhud dām-e-sayyād tale

    kar zulm bapā lekin tārīḳh ye sach apne zehn meñ rakh

    kitne zālim dafn hue mazlūmoñ fariyād tale

    ham ġharb-zada zahrīlī fazā zad meñ aa sakte nahīñ

    ham karte haiñ ta.amīr-e-tamaddun tahzīb-e-ajdād tale

    vo aql-garāñ ham ishq-garāñ donoñ meñ taqābul kaisā 'nadīm'

    donoñ azal se rahte haiñ jab fehrist-e-azdād tale

    jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale

    ehsas dabe hain kitne hi meri na-gufta rudad tale

    wo zat to ek hi zat hai na har lamha jis ko DhunDhta hai

    momin nur-e-iman tale kafir sang-e-ilhad tale

    imroz-o-farda karte rahe tum aur yahan ahl-e-hasrat

    kitne hi kuchle jate rahe bar-e-yaum-e-miad tale

    kal tak nara aazadi ka jin ke honTon ki zinat tha

    wo itminan se baiThe hain ab KHud dam-e-sayyaad tale

    kar zulm bapa lekin tariKH ka ye sach apne zehn mein rakh

    kitne hi zalim dafn hue mazlumon ki fariyaad tale

    hum gharb-zada zahrili faza ki zad mein aa hi sakte nahin

    hum karte hain tamir-e-tamaddun tahzib-e-ajdad tale

    wo aql-garan hum ishq-garan donon mein taqabul kaisa 'nadim'

    donon hi azal se rahte hain jab fehrist-e-azdad tale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now