Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamal-o-husn ki wo anjuman mein kya baiThe

Syed Iqbal Haider

jamal-o-husn ki wo anjuman mein kya baiThe

Syed Iqbal Haider

MORE BYSyed Iqbal Haider

    jamāl-o-husn vo anjuman meñ kyā baiThe

    matā-e-hosh-o-ḳhirad ko jo gañvā baiThe

    jinheñ adab se ilāqa na fikr-o-fan se lagāo

    hamārī bazm meñ aise bhī log aa baiThe

    kabhī buzurgoñ se mīrās meñ jo paa.ī thī

    vo saarī qadreñ vo tahzīb ham bhulā baiThe

    maiñ sochtā huuñ vo insān haiñ ki haivāñ haiñ

    haiñ kaun jo na kabhī mil ke ek baiThe

    unheñ se nām-e-tamaddun ko joḌ rakkhā hai

    jo apnī daulat-e-tahzīb bhī luTā baiThe

    phir aise ghar meñ ho kyā koī qīmtī sāmān

    hasad aag se jo apnā ghar jalā baiThe

    amīr-e-qāfila ko ho thakan jab ehsās

    to rāste meñ na kyoñ thak ke qāfila baiThe

    unheñ milegā na 'iqbāl' manziloñ patā

    vo rāhzan ko jo rahnumā banā baiThe

    jamal-o-husn ki wo anjuman mein kya baiThe

    mata-e-hosh-o-KHirad hi ko jo ganwa baiThe

    jinhen adab se ilaqa na fikr-o-fan se lagao

    hamari bazm mein aise bhi log aa baiThe

    kabhi buzurgon se miras mein jo pai thi

    wo sari qadren wo tahzib hum bhula baiThe

    main sochta hun wo insan hain ki haiwan hain

    hain kaun jo na kabhi mil ke ek ja baiThe

    unhen se nam-e-tamaddun ko joD rakkha hai

    jo apni daulat-e-tahzib bhi luTa baiThe

    phir aise ghar mein ho kya koi qimti saman

    hasad ki aag se jo apna ghar jala baiThe

    amir-e-qafila ko ho thakan ka jab ehsas

    to raste mein na kyon thak ke qafila baiThe

    unhen milega na 'iqbaal' manzilon ka pata

    wo rahzan hi ko jo rahnuma bana baiThe

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 533)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now