Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamil ko gumrahi mubarak ki ab to saman bhi wahi hai

Jameel Mazhari

jamil ko gumrahi mubarak ki ab to saman bhi wahi hai

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    'jamīl' ko gumrahī mubārak ki ab to sāmān bhī vahī hai

    jo dil vahshat thā taqāza ḳhirad mailān bhī vahī hai

    ḳhudī mohabbat ke falsafe meñ hai us ke jazboñ maut lekin

    kuchh aur dil meñ utar ke dekho to ishq jaan bhī vahī hai

    banī thī hamdard ishq jab to aql ko ye bhī dekhnā thā

    ki jis ko vo fā.eda samajhtī hai us nuqsān bhī vahī hai

    hamārī mīzān-e-āgahī meñ yaqīn kyā hai gumāñ shiddat

    jo shak āġhosh meñ palā ho usūlan īmān bhī vahī hai

    'jamīl' kaisī ḳhudā-parastī vahī ghuTī ḳhvāhishoñ mastī

    Duboī jis ne hamārī kashtī tumhārā tūfān bhī vahī hai

    'jamil' ko gumrahi mubarak ki ab to saman bhi wahi hai

    jo dil ki wahshat ka tha taqaza KHirad ka mailan bhi wahi hai

    KHudi mohabbat ke falsafe mein hai us ke jazbon ki maut lekin

    kuchh aur dil mein utar ke dekho to ishq ki jaan bhi wahi hai

    bani thi hamdard ishq ki jab to aql ko ye bhi dekhna tha

    ki jis ko wo faeda samajhti hai us ka nuqsan bhi wahi hai

    hamari mizan-e-agahi mein yaqin kya hai guman ki shiddat

    jo shak ki aaghosh mein pala ho usulan iman bhi wahi hai

    'jamil' kaisi KHuda-parasti wahi ghuTi KHwahishon ki masti

    Duboi jis ne hamari kashti tumhaara tufan bhi wahi hai

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 317)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now