Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki

Jumbish Khairabadi

jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki

Jumbish Khairabadi

MORE BYJumbish Khairabadi

    jhuum ke sāġhar kaun uThā.e kis ko paḌī maiḳhāne

    saaqī ko bhī hosh nahīñ hai qismat hai paimāne

    gulshan gulshan yuuñ phirtī hai chāk-garebāñ phuul ḳhushbū

    jaise sabā ne phailā ho baat kisī dīvāne

    dīvane-pan ghāTī meñ aql sūraj Duub chalā

    shahr-e-taḳhayyul par chhā.ī hai shaam kisī vīrāne

    saare sahāre chhūT chale haiñ sub.h taarā Duub chalā

    phir bhī tamannā soch rahī hai baat kisī ke aane

    zinda rah kar pahuñchegā pyaar naġhma galiyoñ galiyoñ

    baat adhūrī rah jaatī hai jal-bhun kar parvāne

    bedardoñ ke daur meñ hai 'jumbish' ḳhūn-e-tamannā hone do

    koī na koī aañsū surḳhī de degā afsāne

    jhum ke saghar kaun uThae kis ko paDi maiKHane ki

    saqi ko bhi hosh nahin hai qismat hai paimane ki

    gulshan gulshan yun phirti hai chaak-gareban phul ki KHushbu

    jaise saba ne phaila di ho baat kisi diwane ki

    diwane-pan ki ghaTi mein aql ka suraj Dub chala

    shahr-e-taKHayyul par chhai hai sham kisi virane ki

    sare sahaare chhuT chale hain subh ka tara Dub chala

    phir bhi tamanna soch rahi hai baat kisi ke aane ki

    zinda rah kar hi pahunchega pyar ka naghma galiyon galiyon

    baat adhuri rah jati hai jal-bhun kar parwane ki

    bedardon ke daur mein hai 'jumbish' KHun-e-tamanna hone do

    koi na koi aansu surKHi de dega afsane ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now