Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai

Aziz Hamid Madni

ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    jī-dāro! dozaḳh havā meñ kis mohabbat jaltī hai

    tez dahaktī aag zamīñ par ḳhandaq ḳhandaq chaltī hai

    āsebī sham.eñ le kar sayyāroñ meñ ghuum ga.ī

    koī havā aisī hai ki duniyā niiñd meñ uTh kar chaltī hai

    kohsāroñ barf pighal kar dariyāoñ meñ niklī

    kuchh to pās-e-āb-e-ravāñ kar nabz-e-junūñ kyā chaltī hai

    raat raat Thaharne vaale vaqt-e-ḳhush baat samajh

    sub.h to ik darvāza-e-ġham par duniyā āñkheñ maltī hai

    ḳhush-bū shahr-e-badī jaadū ek hadīs-e-tilism huī

    hauz meñ khiltā gul-e-bakā.ulī ḳhush-bū is meñ paltī hai

    qindīl-e-rāhib jaadū āsebī tāroñ ke moḌ

    kaaT ke vaqt ik parchhā.īñ ḳhvāb-numā chaltī hai

    shams o qamar ḳhākistar meñ ruuh thī ik ārā.ish

    duniyā biich meñ ke khaḌī hai aur libās badaltī hai

    ḳhākistar dil thī āḳhir miltī raakh meñ tāroñ

    ātish-e-mahr jast kartī bujhte bujhte jaltī hai

    mutrib-e-ḳhush-āvāz huī hai zaḳhm-āvar āhañg-e-balā

    vo jo mire hisse lai thī tere gale meñ Dhaltī hai

    ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai

    tez dahakti aag zamin par KHandaq KHandaq chalti hai

    aasebi si shamen le kar sayyaron mein ghum gai

    koi hawa aisi hai ki duniya nind mein uTh kar chalti hai

    kohsaron ki barf pighal kar dariyaon mein ja nikli

    kuchh to pas-e-ab-e-rawan kar nabz-e-junun kya chalti hai

    raat ki raat Thaharne wale waqt-e-KHush ki baat samajh

    subh to ek darwaza-e-gham par duniya aankhen malti hai

    KHush-bu shahr-e-badi ka jadu ek hadis-e-tilism hui

    hauz mein khilta gul-e-bakauli KHush-bu is mein palti hai

    qindil-e-rahib ka jadu aasebi taron ke moD

    kaT ke waqt ki ek parchhain KHwab-numa si chalti hai

    shams o qamar ki KHakistar mein ruh thi ek aaraish ki

    duniya bich mein ja ke khaDi hai aur libas badalti hai

    KHakistar dil ki thi aaKHir milti rakh mein taron ki

    aatish-e-mahr sa jast sa karti bujhte bujhte jalti hai

    mutrib-e-KHush-awaz hui hai zaKHm-awar aahang-e-bala

    wo jo mere hisse ki lai thi tere gale mein Dhalti hai

    Source:

    Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 468)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now