jin mein mere sahib ka ghar wo galiyan hain tang sakhi
jin meñ mere sāhib kā ghar vo galiyāñ haiñ tang sakhī
apnā sab kuchh chhoḌ ke aa.iyo gar chalnā ho sang sakhī
ā.īna-dar-ā.īna-dar-ā.īna thī zaat mirī
parda-dar-parda-dar-parda khol ke maiñ huuñ dang sakhī
un kī maaTī din damkā.e raat ujāle un kā nuur
un ke badan kī kastūrī se mahke mere ang sakhī
āñkheñ kholūñ un ko dekhūñ band karūñ to bhītar vo
maiñ sāhib kī sāhib mere haiñ ham do yak-rang sakhī
anhad naad kī dhun par nāchūñ jhūmūñ jogan ban ke maiñ
dhaḌkan dhaḌke dam dam dham dham shīrīñ hai āhang sakhī
'ishq galī meñ gard uḌaa.ī maiñ ne gumāyā dil apnā
maaTī meñ rulne par aa.e jiine ke sab Dhang sakhī
dil duniyā se uub chukā hai prem-nagar kā chākar hai
ab chāhe kuchh bhī ho jaa.e badlegā na Dhang sakhī
jin mein mere sahib ka ghar wo galiyan hain tang sakhi
apna sab kuchh chhoD ke aaiyo gar chalna ho sang sakhi
aaina-dar-aina-dar-aina thi zat meri
parda-dar-parda-dar-parda khol ke main hun dang sakhi
un ki maTi din damkae raat ujale un ka nur
un ke badan ki kasturi se mahke mere ang sakhi
aankhen kholun un ko dekhun band karun to bhitar wo
main sahib ki sahib mere hain hum do yak-rang sakhi
anhad nad ki dhun par nachun jhumun jogan ban ke main
dhaDkan dhaDke dam dam dham dham shirin hai aahang sakhi
'ishq gali mein gard uDai main ne gumaya dil apna
maTi mein rulne par aae jine ke sab Dhang sakhi
dil duniya se ub chuka hai prem-nagar ka chaakar hai
ab chahe kuchh bhi ho jae badlega na Dhang sakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.