Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis din tum aa ke humse ham-aghosh ho gae

Meer Mohammadi Bedar

jis din tum aa ke humse ham-aghosh ho gae

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    jis din tum aa ke ham se ham-āġhosh ho ga.e

    shikve jo dil meñ the so farāmosh ho ga.e

    saaqī nahīñ hai sāġhar-e-mai hameñ talab

    āñkheñ terī dekh ke behosh ho ga.e

    sunñe ko husn-e-yār ḳhūbī ba-rañg-e-gul

    a.azā mire badan ke sabhī gosh ho ga.e

    karte the apne husn tārīf gul-ruḳhāñ

    us lāla-rū ko dekh ke ḳhāmosh ho ga.e

    ai jaan dekhte mujhe duur se tum aaj

    ye kaun adā thī ki rū-posh ho ga.e

    rahte the be-hijāb mire paas jin dinoñ

    ve roz haa.e tum ko farāmosh ho ga.e

    duniyā o diin na rahī ham ko kuchh ḳhabar

    hote us ke sāmne behosh ho ga.e

    'bedār' bas-ki ro.e ham us gul yaad meñ

    sar-tā-qadam sarishk se gul-posh ho ga.e

    jis din tum aa ke hum se ham-aghosh ho gae

    shikwe jo dil mein the so faramosh ho gae

    saqi nahin hai saghar-e-mai ki hamein talab

    aankhen hi teri dekh ke behosh ho gae

    sunne ko husn-e-yar ki KHubi ba-rang-e-gul

    aaza mere badan ke sabhi gosh ho gae

    karte the apne husn ki tarif gul-ruKHan

    us lala-ru ko dekh ke KHamosh ho gae

    ai jaan dekhte hi mujhe dur se tum aaj

    ye kaun si ada thi ki ru-posh ho gae

    rahte the be-hijab mere pas jin dinon

    we roz hae tum ko faramosh ho gae

    duniya o din ki na rahi hum ko kuchh KHabar

    hote hi us ke samne behosh ho gae

    'bedar' bas-ki roe hum us gul ki yaad mein

    sar-ta-qadam sarishk se gul-posh ho gae

    Source:

    Deewan-e-Bedar (Pg. 96)

    • Author: Meer Mohammadi Bedar
      • Publisher: Shahi Press, Madras
      • Year of Publication: 1935
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now