Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko kuchh dhan ho kare humse haqiqat ki bahs

Insha Allah Khan Insha

jis ko kuchh dhan ho kare humse haqiqat ki bahs

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    jis ko kuchh dhan ho kare ham se haqīqat bahs

    ki hamīñ jānte haiñ ahl-e-tarīqat bahs

    qāziyā haath baḌhā shīsha-e-sahbā to utaar

    tāq-e-nisyāñ pe rahne de sharī.at bahs

    kar diyā mujtahid-e-vaqt ko qātil jhaT-paT

    ham ne masjid meñ kal aise qayāmat bahs

    bazm-e-rindāna meñ kyā riñd-o-vara.a charchā

    shaiḳh-sāhib hai bahut ye to himāqat bahs

    bū-alī saath koī bolte 'inshā' ko sune

    roz hotī hai baham ahl-e-balāġhat bahs

    jis ko kuchh dhan ho kare hum se haqiqat ki bahs

    ki hamin jaante hain ahl-e-tariqat ki bahs

    qaziya hath baDha shisha-e-sahba to utar

    taq-e-nisyan pe tu rahne de shariat ki bahs

    kar diya mujtahid-e-waqt ko qatil jhaT-paT

    hum ne masjid mein kal aise hi qayamat ki bahs

    bazm-e-rindana mein kya rind-o-wara ka charcha

    shaiKH-sahib hai bahut ye to himaqat ki bahs

    bu-ali sath koi bolte 'insha' ko sune

    roz hoti hai baham ahl-e-balaghat ki bahs

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 40)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now