Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna paDta hai

Masoom Ansari

jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna paDta hai

Masoom Ansari

MORE BYMasoom Ansari

    jis par dil rotā hai vo bhī hañs kar karnā paḌtā hai

    apne ghar raunaq ko ḳhud be-ghar karnā paḌtā hai

    achchhe achchhe dab jaate haiñ rasm-e-zamāna ke aage

    dekh ke chup rahte haiñ dil ko patthar karnā paḌtā hai

    aane vaale din fikreñ ḳhvāboñ ko Das letī haiñ

    niiñd se jaltī āñkhoñ ko be-manzar karnā paḌtā hai

    chāhne aur chāhe jaane ḳhvāhish jurm nahīñ lekin

    rusvā.ī ko apne sar chādar karnā paḌtā hai

    aise moḌ pe aa jaatī hai baḌhte baḌhte baat kabhī

    phuul se lahje ko majbūran ḳhanjar karnā paḌtā hai

    raat parā.e des meñ kaaTī to ye bhī ma.alūm huā

    haath ko takiya aur zamīñ ko bistar karnā paḌtā hai

    kahtā hai rad kar duuñ maiñ aise ḳhvāboñ ko 'ma.asūm'

    jin ta.abīroñ par mātam aksar karnā paḌtā hai

    jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna paDta hai

    apne ghar ki raunaq ko KHud be-ghar karna paDta hai

    achchhe achchhe dab jate hain rasm-e-zamana ke aage

    dekh ke chup rahte hain dil ko patthar karna paDta hai

    aane wale din ki fikren KHwabon ko Das leti hain

    nind se jalti aankhon ko be-manzar karna paDta hai

    chahne aur chahe jaane ki KHwahish jurm nahin lekin

    ruswai ko apne sar ki chadar karna paDta hai

    aise moD pe aa jati hai baDhte baDhte baat kabhi

    phul se lahje ko majburan KHanjar karna paDta hai

    raat parae des mein kaTi to ye bhi malum hua

    hath ko takiya aur zamin ko bistar karna paDta hai

    ji kahta hai rad kar dun main aise KHwabon ko 'masum'

    jin ki tabiron par matam aksar karna paDta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now