Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain

Parveen Umm-e-Mushtaq

jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    jo chaar ādamiyoñ meñ gunāh karte haiñ

    ḳhudā huī izzat tabāh karte haiñ

    butoñ ke hote jo mah par nigāh karte haiñ

    qasam ḳhudā baḌā gunāh karte haiñ

    baḌā zulm ḳhudā panāh karte haiñ

    ham aah aah to vo vaah vaah karte haiñ

    vo bosa dete nahīñ gore gore gāloñ

    tumheñ gavāh ham ai mahr-o-māh karte haiñ

    buto tumhīñ pe fidā haiñ buto tumhīñ pe nisār

    yaqīñ na ho to ḳhudā ko gavāh karte haiñ

    kabhī vo dekhte haiñ apne teġh o baazū ko

    kabhī vo ġhaiz se mujh par nigāh karte haiñ

    majāl kyā hai jo luuñ naam apne qātil

    tumhīñ pe log magar ishtibāh karte haiñ

    ḳhayāl rakhte haiñ har vaqt dostī sharīf

    isī tarah se hamesha nibāh karte haiñ

    gunāh kyā hai jo dil se aziiz rakhte haiñ

    bane ho yūsuf-e-sānī to chaah karte haiñ

    agar ho sabr-o-qanā.at daulat ai 'parvīñ'

    gadā bhī karte haiñ vo jo shaah karte haiñ

    jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain

    KHuda ki di hui izzat tabah karte hain

    buton ke hote jo mah par nigah karte hain

    qasam KHuda ki baDa hi gunah karte hain

    baDa hi zulm KHuda ki panah karte hain

    hum aah aah to wo wah wah karte hain

    wo bosa dete nahin gore gore galon ka

    tumhein gawah hum ai mahr-o-mah karte hain

    buto tumhin pe fida hain buto tumhin pe nisar

    yaqin na ho to KHuda ko gawah karte hain

    kabhi wo dekhte hain apne tegh o bazu ko

    kabhi wo ghaiz se mujh par nigah karte hain

    majal kya hai jo lun nam apne qatil ka

    tumhin pe log magar ishtibah karte hain

    KHayal rakhte hain har waqt dosti ka sharif

    isi tarah se hamesha nibah karte hain

    gunah kya hai jo dil se aziz rakhte hain

    bane ho yusuf-e-sani to chah karte hain

    agar ho sabr-o-qanaat ki daulat ai 'parwin'

    gada bhi karte hain wo hi jo shah karte hain

    Source:

    Deewan-e-parveen (Pg. ebook-125 page-122)

    • Author: Parveen Umm-e-Mushtaq
      • Publisher: Azizi Press
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now