Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo gum-gashta hai uski zat kya hai

Arman Najmi

jo gum-gashta hai uski zat kya hai

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    jo gum-gashta hai us zaat kyā hai

    ġharīb-e-shahr auqāt kyā hai

    saroñ par sāya-e-āfāt kyā hai

    jo kaTtī nahīñ vo raat kyā hai

    na hone aur hone haqīqat

    savāl-e-nafī-o-isbāt kyā hai

    jamī hai gard tah bastiyoñ par

    havā ke haath meñ sauġhāt kyā hai

    hiqārat meñ bujhe kuchh tīr-o-nashtar

    mire kashkol meñ ḳhairāt kyā hai

    bujhā paa.eñ na un ko oḌh paa.eñ

    guzishta mausamoñ baat kyā hai

    kabhī dekhā na us ko bār-āvar

    hamārī fasl-e-imkānāt kyā hai

    varaq par kyuuñ utarte haiñ sharāre

    lahū meñ sho.ala-e-jazbāt kyā hai

    ubharte Dūbte rahte haiñ saa.e

    tamāshā ek din raat kyā hai

    jo gum-gashta hai us ki zat kya hai

    gharib-e-shahr ki auqat kya hai

    saron par saya-e-afat kya hai

    jo kaTti hi nahin wo raat kya hai

    na hone aur hone ki haqiqat

    sawal-e-nafi-o-isbaat kya hai

    jami hai gard ki tah bastiyon par

    hawa ke hath mein saughat kya hai

    hiqarat mein bujhe kuchh tir-o-nashtar

    mere kashkol mein KHairaat kya hai

    bujha paen na un ko oDh paen

    guzishta mausamon ki baat kya hai

    kabhi dekha na us ko bar-awar

    hamari fasl-e-imkanat kya hai

    waraq par kyun utarte hain sharare

    lahu mein shoala-e-jazbaat kya hai

    ubharte Dubte rahte hain sae

    tamasha ek sa din raat kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now