aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain

Shahid Kamal

jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    jo is chaman meñ ye gul sarv-o-yāsman ke haiñ

    ye jitne rañg haiñ sab tere pairahan ke haiñ

    ye sab karishma-e-arz-e-hunar usī ke haiñ

    guloñ meñ naqsh tire lab-o-dahan ke haiñ

    tabī.atoñ meñ ajab rañg-e-ajnabiyyat hai

    ye shāh-pāre to sab tere arz-e-fan ke haiñ

    havas meñ ishq meñ tahzīb-e-tarbiyat hai farq

    vagarna donoñ usī maktab-e-badan ke haiñ

    hameñ to ke yahāñ par basā diyā gayā hai

    ḳhabar hai mulk-e-adam ham tire vatan ke haiñ

    amīr-e-shahr apnī qabā-e-zar ko bhī dekh

    sab is meñ taar mire reza-e-kafan ke haiñ

    kahāñ akele mirī ḳhvāhishoñ dam niklā

    nishāñ bhī us ke gale par mirī ghuTan ke haiñ

    ḳhud apne shahr tahzīb bhuul baiThe haiñ

    ye kaun log haiñ aur jaane kaise ban ke haiñ

    mere harīf mirā ehtirām karte haiñ

    suḳhan-varoñ meñ bhī charche mire suḳhan ke haiñ

    jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain

    ye jitne rang hain sab tere pairahan ke hain

    ye sab karishma-e-arz-e-hunar usi ke hain

    gulon mein naqsh tere hi lab-o-dahan ke hain

    tabiaton mein ajab rang-e-ajnabiyyat hai

    ye shah-pare to sab tere arz-e-fan ke hain

    hawas mein ishq mein tahzib-e-tarbiyat ka hai farq

    wagarna donon usi maktab-e-badan ke hain

    hamein to la ke yahan par basa diya gaya hai

    KHabar hai mulk-e-adam hum tere watan ke hain

    amir-e-shahr tu apni qaba-e-zar ko bhi dekh

    sab is mein tar mere reza-e-kafan ke hain

    kahan akele meri KHwahishon ka dam nikla

    nishan bhi us ke gale par meri ghuTan ke hain

    KHud apne shahr ki tahzib bhul baiThe hain

    ye kaun log hain aur jaane kaise ban ke hain

    mere harif mera ehtiram karte hain

    suKHan-waron mein bhi charche mere suKHan ke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now