Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai

Abdul Ahad Saaz

jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    jo kuchh bhī ye jahāñ zamāne ghar hai

    rūdād ek lamha-e-vahshat-asar hai

    phir dhaḌkanoñ meñ guzre huoñ ke qadam chaap

    sāñsoñ meñ ik ajiib havā phir udhar hai

    phir duur manzaroñ se nazar ko hai vāsta

    phir in dinoñ fazā meñ hikāyat safar hai

    pahlī kiran dhaar se kaT jā.eñge ye par

    iz.hār uḌaan faqat raat bhar hai

    idrāk ke ye dukh ye azaab āgahī ke dost!

    kis se kaheñ ḳhatā nigah-e-ḳhud-nigar hai

    vo an-kahī baat suḳhan ko jo pur kare

    'sāz' apnī shā.erī meñ kamī us kasar hai

    jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai

    rudad ek lamha-e-wahshat-asar ki hai

    phir dhaDkanon mein guzre huon ke qadam ki chap

    sanson mein ek ajib hawa phir udhar ki hai

    phir dur manzaron se nazar ko hai wasta

    phir in dinon faza mein hikayat safar ki hai

    pahli kiran ki dhaar se kaT jaenge ye par

    izhaar ki uDan faqat raat bhar ki hai

    idrak ke ye dukh ye azab aagahi ke dost!

    kis se kahen KHata nigah-e-KHud-nigar ki hai

    wo an-kahi si baat suKHan ko jo pur kare

    'saz' apni shaeri mein kami us kasar ki hai

    Source:

    khamoshi bol uthi hai (Pg. 95)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now