Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mere dil mein sahw teri yaad se hua

Natiq Lakhnavi

jo mere dil mein sahw teri yaad se hua

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    jo mere dil meñ sahv tirī yaad se huā

    naam us mahv ālam-e-ījād se huā

    barbād ḳhāk-e-dil hai to ehsān-e-husn kyā

    maiñ sar-buland ishq uftād se huā

    aise bhī haiñ ki jin ko rihā.ī fikr hai

    sharminda maiñ to zahmat-e-sayyād se huā

    nāqūs aur azaañ binā ishq se paḌī

    fariyād chalan mirī fariyād se huā

    ishq-o-havas ne mil ke banā.ī hai bazm-e-husn

    ye ittihād majma-e-azdād se huā

    duniyā-e-be-sabāt qissa thā muḳhtasar

    tuul itnā merī qaid mī.ād se huā

    jo mere dil mein sahw teri yaad se hua

    nam us ka mahw aalam-e-ijad se hua

    barbaad KHak-e-dil hai to ehsan-e-husn kya

    main sar-buland ishq ki uftad se hua

    aise bhi hain ki jin ko rihai ki fikr hai

    sharminda main to zahmat-e-sayyaad se hua

    naqus aur azan ki bina ishq se paDi

    fariyaad ka chalan meri fariyaad se hua

    ishq-o-hawas ne mil ke banai hai bazm-e-husn

    ye ittihad majma-e-azdad se hua

    duniya-e-be-sabaat ka qissa tha muKHtasar

    tul itna meri qaid ki miad se hua

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 133)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now