Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge

Nizam Rampuri

jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    jo sarguzisht apnī ham kaheñge koī sunegā to kyā kareñge

    jo yaad ā.eñgī terī bāteñ to chup pahroñ rahā kareñge

    jo chāho kah lo yahī ḳhushī hai to ham bhī phir kyuuñ gilā kareñge

    jo kuchh sunā.egī apnī qismat tumhāre muñh se sunā kareñge

    kise ġharaz hai phir aap ko kyuuñ sanam bandā kahā kareñge

    jo yūñhī ham ko bhulā.eñge vo to ham bhī yād-e-ḳhudā kareñge

    abas ye har-dam chauñknā hai abas ye uTh uTh ke dekhnā hai

    bhalā vo aise hue the kis din vahī to va.ada vafā kareñge

    ilāhī qāsid abhī na aa.e ki ye tavaqqo.a bhī hai ġhanīmat

    kiyā gar inkār saaf us ne to dil taskīn kyā kareñge

    lo mil bhī jaao na kuchh tumhārī ḳhatā thī us dam na kuchh hamārī

    jo ye dil ke muāmle haiñ to yūñhī jhagḌe rahā kareñge

    hameñ to dekho ye kyā huā hai ki un ke kahne phir yaqīñ hai

    vo jo jhuuT yūñhī kahā kareñge adū se yūñhī milā kareñge

    sitam kiije agar shikāyat to kahte haiñ bas tumheñ bhī dekhā

    yahāñ kuchh aisī ġharaz hai kis ko kisī pe ham kyuuñ jafā kareñge

    ye sach hai nāseh! na hogā milnā nahīñ hai achchhā na hogā achchhā

    phir aap ko kyā burā kaheñge to apne haq meñ burā kareñge

    'nizām' taqrīr phir abas hai javāb kuchh us de sakoge

    vo us har baat par ye kahnā ki ham to apnā kahā kareñge

    jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge

    jo yaad aaengi teri baaten to chup hi pahron raha karenge

    jo chaho kah lo yahi KHushi hai to hum bhi phir kyun gila karenge

    jo kuchh sunaegi apni qismat tumhaare munh se suna karenge

    kise gharaz hai phir aap ko kyun sanam ka banda kaha karenge

    jo yunhi hum ko bhulaenge wo to hum bhi yaad-e-KHuda karenge

    abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uTh uTh ke dekhna hai

    bhala wo aise hue the kis din wahi to wada wafa karenge

    ilahi qasid abhi na aae ki ye tawaqqoa bhi hai ghanimat

    kiya gar inkar saf us ne to dil ki taskin kya karenge

    lo mil bhi jao na kuchh tumhaari KHata thi us dam na kuchh hamari

    jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagDe raha karenge

    hamein to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai

    wo jo jhuT yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge

    sitam ki kije agar shikayat to kahte hain bas tumhein bhi dekha

    yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe hum kyun jafa karenge

    ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha

    phir aap ko kya bura kahenge to apne haq mein bura karenge

    'nizam' taqrir phir abas hai jawab kuchh us ka de sakoge

    wo us ka har baat par ye kahna ki hum to apna kaha karenge

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 359)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now