Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun

Riaz Majeed

jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    jo sochtā huuñ agar vo havā se kah jā.ūñ

    havā lauh pe mahfūz ho ke rah jā.ūñ

    ye kyā yaqīn ki mil jā.egā mujh ko

    tirī judā.ī jaañ levā dik to sah jā.ūñ

    ḳhud apne aap ko dekhūñ varaq varaq kar ke

    kisī ke sāmne jā.ūñ to tah-ba-tah jā.ūñ

    khaḌā huuñ sūrat-e-dīvār reg-e-sāhil par

    zarā mauj bhī aa.e to ghul ke bah jā.ūñ

    mire ḳhudā mujhe iz.hār vo qudrat de

    mujhe jo kahnā hai ik lafz meñ kah jā.ūñ

    harīf-e-koshish-e-parvāz hai ye mausam-e-barf

    maiñ āshiyāñ meñ par khol khol rah jā.ūñ

    chaTān ban ke bhī kab tak bachā rahūñgā 'riyāz'

    misāl-e-ḳhas abhī sail-e-zamāñ meñ bah jā.ūñ

    jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun

    hawa ki lauh pe mahfuz ho ke rah jaun

    ye kya yaqin ki tu mil hi jaega mujh ko

    teri judai ka jaan lewa dik to sah jaun

    KHud apne aap ko dekhun waraq waraq kar ke

    kisi ke samne jaun to tah-ba-tah jaun

    khaDa hun surat-e-diwar reg-e-sahil par

    zara si mauj bhi aae to ghul ke bah jaun

    mere KHuda mujhe izhaar ki wo qudrat de

    mujhe jo kahna hai ek lafz mein hi kah jaun

    harif-e-koshish-e-parwaz hai ye mausam-e-barf

    main aashiyan mein hi par khol khol rah jaun

    chaTan ban ke bhi kab tak bacha rahunga 'riyaz'

    misal-e-KHas abhi sail-e-zaman mein bah jaun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 403)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now