Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai

Naseem Sahar

jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai

Naseem Sahar

MORE BYNaseem Sahar

    jo yād-e-yār se guft-o-shunīd kar hai

    to goyā phuul se ḳhushbū kashīd kar hai

    judā.iyoñ meñ bhī DhūñDī haiñ qurbateñ maiñ ne

    zarar-rasāñ thī jo shai vo mufīd kar hai

    nahīñ khule the jo manzar mirī basārat par

    tasavvurāt meñ un bhī diid kar hai

    sitāre Taañk diye haiñ falak chādar par

    aur apnī chādar-e-shab be-navīd kar hai

    maiñ chāhtā to use kuchh qarīb le aatā

    masarratoñ jo saa.at ba.iid kar hai

    use to dukh nahīñ kuchh mirī judā.ī

    sazā ḳhud apne liye shadīd kar hai

    use bhulāne koshish meñ yaad kar kar ke

    ḳhud apnī ziist mushkil mazīd kar hai

    husain ibn-e-alī taraf lauTeñge

    jinhoñ ne bai.at-e-fikr-e-yazīd kar hai

    atā-e-'mīr' hai mujh par ki maiñ ne bhī raushan

    ġhazal sham.a ba-tarz-e-jadīd kar hai

    jachā hai ab kahīñ kar 'nasīm' jāma-e-zīst

    kahīñ kahīñ se jo qat-o-burīd kar hai

    jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai

    to goya phul se KHushbu kashid kar li hai

    judaiyon mein bhi DhunDi hain qurbaten main ne

    zarar-rasan thi jo shai wo mufid kar li hai

    nahin khule the jo manzar meri basarat par

    tasawwuraat mein un ki bhi did kar li hai

    sitare Tank diye hain falak ki chadar par

    aur apni chadar-e-shab be-nawid kar li hai

    main chahta to use kuchh qarib le aata

    masarraton ki jo saat baid kar li hai

    use to dukh hi nahin kuchh meri judai ka

    saza KHud apne liye hi shadid kar li hai

    use bhulane ki koshish mein yaad kar kar ke

    KHud apni zist hi mushkil mazid kar li hai

    husain ibn-e-ali ki taraf hi lauTenge

    jinhon ne baiat-e-fikr-e-yazid kar li hai

    ata-e-'mir' hai mujh par ki main ne bhi raushan

    ghazal ki shama ba-tarz-e-jadid kar li hai

    jacha hai ab kahin ja kar 'nasim' jama-e-zist

    kahin kahin se jo qat-o-burid kar li hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now