Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

josh-e-bahaaran dekh rahe hain

Hina Shaheedi

josh-e-bahaaran dekh rahe hain

Hina Shaheedi

MORE BYHina Shaheedi

    josh-e-bahārāñ dekh rahe haiñ

    chāk-e-garebāñ dekh rahe haiñ

    Dūbne vaale so.e sāhil

    tā-had-e-imkāñ dekh rahe haiñ

    shahr ko saare aag lagā kar

    jashn-e-charāġhāñ dekh rahe haiñ

    hotā hai barbād gulistāñ

    ahl-e-gulistāñ dekh rahe haiñ

    ham to safīna apnā baḌhā kar

    zor-e-tūfāñ dekh rahe haiñ

    ham ko 'hinā' karte the jo hairāñ

    ham unheñ hairāñ dekh rahe haiñ

    josh-e-bahaaran dekh rahe hain

    chaak-e-gareban dekh rahe hain

    Dubne wale soe sahil

    ta-had-e-imkan dekh rahe hain

    shahr ko sare aag laga kar

    jashn-e-charaghan dekh rahe hain

    hota hai barbaad gulistan

    ahl-e-gulistan dekh rahe hain

    hum to safina apna baDha kar

    zor-e-tufan dekh rahe hain

    hum ko 'hina' karte the jo hairan

    hum unhen hairan dekh rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now