Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda hue wo log ki jinko sath mein aana tha

Shahryar

juda hue wo log ki jinko sath mein aana tha

Shahryar

MORE BYShahryar

    judā hue vo log ki jin ko saath meñ aanā thā

    ik aisā moḌ bhī hamārī raat meñ aanā thā

    tujh se bichhaḌ jaane ġham kuchh ḳhaas nahīñ ham ko

    ek na ik din khoT hamārī zaat meñ aanā thā

    āñkhoñ ko ye kahte sunte rahte haiñ har dam

    sūkhe ko aanā thā aur barsāt meñ aanā thā

    ik lambī sunsān saḌak par tanhā phirte haiñ

    vo aahaT thī ham ko na us baat meñ aanā thā

    ai yaado tum aise kyuuñ is vaqt kahāñ aa.iiñ

    kisī munāsib vaqt na.e hālāt meñ aanā thā

    juda hue wo log ki jin ko sath mein aana tha

    ek aisa moD bhi hamari raat mein aana tha

    tujh se bichhaD jaane ka gham kuchh KHas nahin hum ko

    ek na ek din khoT hamari zat mein aana tha

    aankhon ko ye kahte sunte rahte hain har dam

    sukhe ko aana tha aur barsat mein aana tha

    ek lambi sunsan saDak par tanha phirte hain

    wo aahaT thi hum ko na us ki baat mein aana tha

    ai yaado tum aise kyun is waqt kahan aain

    kisi munasib waqt nae haalat mein aana tha

    Source:

    sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 324)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now