aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun bigDi hui haalat ke banne ka guman kab tak

Aal-e-Raza Raza

junun bigDi hui haalat ke banne ka guman kab tak

Aal-e-Raza Raza

MORE BYAal-e-Raza Raza

    junūñ bigḌī huī hālāt ke banñe gumāñ kab tak

    girebāñ chukā kab raheñgī dhajjiyāñ kab tak

    mohabbat-nā-shanāsoñ meñ mohabbat fuġhāñ kab tak

    na jaane kaT ke dil se kaam degī ab zabāñ kab tak

    tahayya kar chuke jis bevafā ko bhuul jaane

    usī yaad āḳhir dil meñ legī chuTkiyāñ kab tak

    idhar tinkā uThāyā aur udhar phir barq ne pūchhā

    ki phir tayyār ho jā.egā ban kar āshiyāñ kab tak

    khule kuchh paikar-e-ummīd ye vahm miT jaa.e

    nazar ā.eñgī dhuñdlī dhuñdlī parchhā.iyāñ kab tak

    tumhārī aas par kis kis tarah dil ko na samjhāyā

    magar ye ehtimām-e-ḳhud-farebī mehrbāñ kab tak

    'razā' kab se yahī fariyād hai bāġh-e-tamannā

    mujhe luuTe chalā jā.egā merā bāġhbāñ kab tak

    junun bigDi hui haalat ke banne ka guman kab tak

    gireban ja chuka kab ka rahengi dhajjiyan kab tak

    mohabbat-na-shanason mein mohabbat ki fughan kab tak

    na jaane kaT ke dil se kaam degi ab zaban kab tak

    tahayya kar chuke jis bewafa ko bhul jaane ka

    usi ki yaad aaKHir dil mein legi chuTkiyan kab tak

    idhar tinka uThaya aur udhar phir barq ne puchha

    ki phir tayyar ho jaega ban kar aashiyan kab tak

    khule kuchh paikar-e-ummid ya ye wahm miT jae

    nazar aaengi dhundli dhundli si parchhaiyan kab tak

    tumhaari aas par kis kis tarah dil ko na samjhaya

    magar ye ehtimam-e-KHud-farebi mehrban kab tak

    'raza' kab se yahi fariyaad hai bagh-e-tamanna ki

    mujhe luTe chala jaega mera baghban kab tak

    Source:

    Ghazal-e-Mualla (Pg. 81)

    • Author: Aal-e-Raza Raza
      • Publisher: Maktaba Aasfiay, Karachi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now